2nd Aug 2011
Keyboard kay is dor mein ,
aaj kalam paraya sa lagta hai...
yaad aata hai jab jab...
ek guzra zamaana sa lagta hai...
Likhtay likhtay spelling bhool jayay,
tou type karkay dekhna padta hai ...
aye kalam apna rishta,
ek bhoola fasana sa lagta hai...
yaad aata hai jab jab...
ek guzra zamaana sa lagta hai...
Yeh na samajhna,
ki duniya bhool gayee hai tumhein,
aye kalam apna rishta,
ek bhoola fasana sa lagta hai...
yaad aata hai jab jab...
ek guzra zamaana sa lagta hai...
Yeh na samajhna,
ki duniya bhool gayee hai tumhein,
"confirmation of original" mein abhi bhi tera danka hai...
Tu khud ko lachaar na samjhna kabhi,
na maan mein koyee shanka rakhna...
Tu kya hai...aur tera darja kya hai..
tu tou dost CEO hai ban chuka ..
Tu khud ko lachaar na samjhna kabhi,
na maan mein koyee shanka rakhna...
Tu kya hai...aur tera darja kya hai..
tu tou dost CEO hai ban chuka ..
Kitnay hi pannay teri jagah,
printer kay cartridge kyun na ho naseeb,
Chahay unginat web pages par ho,
shabdon ki bhar bheed,
Jab tak teri siyahee,
panno ko na chu laay..
tab tak pannon ka jeevan,
original nahi banta..
Bhoola sa lagta ho,
chahay apna rishta..
par saach yeh hai,
ki tu ab important hai ban chuka...
airaa gairaa nathu khaira,
nahi likhta tu ab..
tera signature hi hai,
jo weightage hai deta...
Keyboard kay is dor mein ,
meray bacchpan kay dost..
dil say mubarak ho,
tumein CEO ki post...
---- हविषा
1 comment:
looking forward to read many more like this one. this one is full of humor and fun. That is how life should be.
Post a Comment